How to Use Egg For Kamzoori aur Namardi ka Khatma Wellness Tips || Egg Tips & Diet and Nutrition Advice

How to Use Egg For Kamzoori aur Namardi ka Khatma Wellness Tips || Egg Tips & Diet and Nutrition Advice

how can eggs help your body to be healthy, the benefits of boiled eggs for breakfast, how many boiled eggs should I eat for breakfast to lose weight and best time to eat boiled egg for weight loss.

How to Use Egg For Kamzoori aur Namardi ka Khatma Wellness Tips || Egg Tips & Diet and Nutrition Advice

Allah pak ne har khanay wali cheez mein koi nah koi vitamin, mazalz, protein aur iron peda kiye hain jis se mustafeed ho kar hum kood ko bemarion se bacha satke hain aur khud ko tandrost rakh satke hain aaj hum aapko batayen gaye ke ublay anday se mardana taaqat mein izafah kaisay kya ja sakta hai. aik desi egg len kar ussay pani mein ubaal len. ubaalne ke baad is ka chilka utaar kar pheink den aur desi makhan ke sath rozana subah nehar munh baqaidagi se khayen is se jism mein intahaa darjay ki taaqat peda ho gi. nafs mein khoon ka dabao barh jay ga.

How to Use  Egg For Kamzoori aur Namardi ka Khatma Wellness Tips Egg Tips & Diet and Nutrition Advice

Aur aisi pareshaniyon ka aalaj mil jaye ga jo aksar nojawan ko saamanaa hai. anday khanay se mardana taaqat ke sath sath deegar bohat saaray faiday bhi hain egg bachon ki hadion ko mazboot banata hai, unkee afzaish karta hai. anday ke istemaal se jism mein qowat mudafat peda hoti hai. Basarat ki kamzoree ke liye bhi egg bohat moasar hai. aik egg mein 78 calories hoti hain khud bhi ublay andon ka istemaal barha den aur doosron ko bhi btayin taakay woh bhi is ki ifadiyat se aashna ho kar faida haasil kar saken. Allah pak hamein har bemari se mehfooz rakhen ameeen.

Read More :

Anday egg ko ubaal kar chheel kar safedi aur zardi samait khaya jata hai. baaz log kacha anda hi pi jatay hain magar munasib tareeqa yeh hai ke anday ko pani mein itni der tak boil kia jaye ke safedi puk jaye aur zardi paknay ke qareeb ho ( small egg taqreeban 3 minute aur big egg taqreeban 4 minute ) yani poooray tor par nah pakay phir is ko utaar kar aur chheel kar is par zara sa namak aur mirch chidak kar khaya jaye. yeh tareeqa half boil khanay ka hai.

anday ko doodh mein phaint kar shehad mein meetha kar ke piinaa mufeed hai. tarkeeb yeh hai : anday ki safedi aur zardi nikaal kar saaf pyaale mein rakhen. is ke oopar josh khaya hua doodh daal kar phaint len, phir shehad mila kar pi len.

Anday ke fawaid benefits of boiled eggs for breakfast

Anday khoon peda karte hain. dil’ dimagh aur baah ko qowat dete hain .kamzor mareezon ki behtareen ghiza hai. anday ki zardi se roghan nikala jata hai jo baal ugane mein bara moasar hota hai. aam jismani kamzoree mein 2 andon ki zardi aur safedi aik pyaale mein daal kar achi terhan se phaintain aur phir garam doodh 1/4 bhar mein 3 chamach khalis shehad mila kar peenay se bohat faida hota hai. jin logon ko resha ki shikayat ho un ke liye adh pakay anday ki zardi nihayat mufeed dawa hai. inhen chahiye ke woh rozana nehar mun 2 aadh pakay andon ki zardi khayen. bachon ko qay aur dast anay ki soorat mein aik anday ki safedi ko 1/4 bhar pani mein phaint kar cheeni mila kar pilanay se sehat hoti hai .

Andon ke chilkon ka kushta bana kar jaryaan’ Silan al reham aur diabities ki bimarion mein istemaal karna be had mufeed hai. seenay ki jalan ki soorat mein garam doodh mein desi anda phaint kar pilanay se afaqa hota hai. girtay hue balon ko roknay ke liye anda phaint kar balon ki jaroon mein laganay aur 2 ghantay baad head dhoney se bohat faida hota hai. kam az kam aik hafta tak yeh amal karna zaroori hota hai. seenah ki kharkharahut aur maida ke mun se khoon anay ko rokta hai. anda lahmiaat ka behtareen makhaz hai.

Aap se guzarish hai keh post ko zaroor share Kray Thanks

How to Use Egg For Kamzoori aur Namardi ka Khatma Wellness Tips || Egg Tips & Diet and Nutrition Advice

How to Use Egg For Kamzoori aur Namardi ka Khatma Wellness Tips || Egg Tips & Diet and Nutrition Advice
Read More :